agar nazar mein koi justuju nahin to nahin
agar nazar meñ koī justujū nahīñ to nahīñ
jo maiñ nahīñ to nahīñ aur jo tū nahīñ to nahīñ
kise ḳhayāl hai apne sivā kisī kā yahāñ
yahāñ kisī ko tirī aarzū nahīñ to nahīñ
mire to shahr meñ bahtī haiñ ḳhuun kī nadiyāñ
use nasīb koī aabjū nahīñ to nahīñ
abhī to zehn meñ sapnoñ kā shor jaarī hai
abhī jo tum se koī guftugū nahīñ to nahīñ
tumheñ tumhārī ye saj-dhaj rahe mubārak aur
mirā darīda garebāñ rafū nahīñ to nahīñ
maiñ apne tarz pe aayā huuñ jiit kar baazī
tirī nazar meñ agar surḳh-rū nahīñ to nahīñ
kisī malīh se chehre pe jaan deñ 'farhat'
koī nasīb meñ gar māh-rū nahīñ to nahīñ
agar nazar mein koi justuju nahin to nahin
jo main nahin to nahin aur jo tu nahin to nahin
kise KHayal hai apne siwa kisi ka yahan
yahan kisi ko teri aarzu nahin to nahin
mere to shahr mein bahti hain KHun ki nadiyan
use nasib koi aabju nahin to nahin
abhi to zehn mein sapnon ka shor jari hai
abhi jo tum se koi guftugu nahin to nahin
tumhein tumhaari ye saj-dhaj rahe mubarak aur
mera darida gareban rafu nahin to nahin
main apne tarz pe aaya hun jit kar bazi
teri nazar mein agar surKH-ru nahin to nahin
kisi malih se chehre pe jaan den 'farhat'
koi nasib mein gar mah-ru nahin to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.