agar pairon ke chhaale kam na honge
agar pairoñ ke chhāle kam na hoñge
to rāhoñ meñ ujāle kam na hoñge
rahegī bādaloñ kī mehrbānī
zamīñ par nadiyāñ naale kam na hoñge
sitāre kam to ho sakte haiñ lekin
mohabbat karne vaale kam na hoñge
ye āshiq haiñ hasīnāoñ kī shaukat
ye mahtāboñ ke haale kam na hoñge
salāmat hai laboñ kī pyaas jab tak
chhalakte mai ke pyāle kam na hoñge
kamā.ī hogī jo mehnat kī 'panchhī'
to roTī ke nivāle kam na hoñge
agar pairon ke chhaale kam na honge
to rahon mein ujale kam na honge
rahegi baadalon ki mehrbani
zamin par nadiyan nale kam na honge
sitare kam to ho sakte hain lekin
mohabbat karne wale kam na honge
ye aashiq hain hasinaon ki shaukat
ye mahtabon ke haale kam na honge
salamat hai labon ki pyas jab tak
chhalakte mai ke pyale kam na honge
kamai hogi jo mehnat ki 'panchhi'
to roTi ke niwale kam na honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.