agar qafas mein nasim-e-bahaar aa jae
agar qafas meñ nasīm-e-bahār aa jaa.e
to be-qarār ko shāyad qarār aa jaa.e
bhulā rahā huuñ maiñ gulshan kī nuz.hat-e-māzī
kahīñ qafas meñ na phir se bahār aa jaa.e
fareb-e-va.ada-e-rangīñ yūñhī rahe qaa.em
ḳhudā kare ki mujhe e.atibār aa jaa.e
usī ko apnī mohabbat kā samjheñ ham hāsil
jo dil ko raas ġham-e-intizār aa jaa.e
dil-e-sitam-zada 'sāqib' hai ḳhūgar-e-āzār
maiñ chāhtā nahīñ is ko qarār aa jaa.e
agar qafas mein nasim-e-bahaar aa jae
to be-qarar ko shayad qarar aa jae
bhula raha hun main gulshan ki nuzhat-e-mazi
kahin qafas mein na phir se bahaar aa jae
fareb-e-wada-e-rangin yunhi rahe qaem
KHuda kare ki mujhe eatibar aa jae
usi ko apni mohabbat ka samjhen hum hasil
jo dil ko ras gham-e-intizar aa jae
dil-e-sitam-zada 'saqib' hai KHugar-e-azar
main chahta nahin is ko qarar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.