agar sham hue to gal gae hum
agar sham' hue to gal ga.e ham
jo parvāna hue to jal ga.e ham
paḌe aa kar falak ke āsiyā meñ
misāl-e-dāna haa.e dil ga.e ham
kisī sūrat na paayā ham ne ārām
yahāñ se vaañ ke ta.iiñ be-kal ga.e ham
na yaañ se le ga.e na vaañ se laa.e
kaf-e-afsos nāhaq mal ga.e ham
tilismāt-e-jahāñ kā dekh zāhir
taraf mā'nī ke ab ojhal ga.e ham
chale aa.e the tārīkī se lekin
pa chalte vaqt le mash'al ga.e ham
na aayā haath vo dair-o-haram meñ
milā jab dil ke dar-mandal ga.e ham
agar samjhoge mā'nī shaiḳh sāhab
ga.e par tum ko kar qaa.il ga.e ham
rahegā naam 'afrīdī' kā tā-hashr
hameñ the jo ki lā-tā.il ga.e ham
agar sham' hue to gal gae hum
jo parwana hue to jal gae hum
paDe aa kar falak ke aasiya mein
misal-e-dana hae dil gae hum
kisi surat na paya hum ne aaram
yahan se wan ke tain be-kal gae hum
na yan se le gae na wan se lae
kaf-e-afsos nahaq mal gae hum
tilismat-e-jahan ka dekh zahir
taraf ma'ni ke ab ojhal gae hum
chale aae the tariki se lekin
pa chalte waqt le mash'al gae hum
na aaya hath wo dair-o-haram mein
mila jab dil ke dar-mandal gae hum
agar samjhoge ma'ni shaiKH sahab
gae par tum ko kar qail gae hum
rahega nam 'afridi' ka ta-hashr
hamein the jo ki la-tail gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.