agar tujhse hun to phir aur kya hun
agar tujh se huuñ to phir aur kyā huuñ
maiñ kis jaisā huuñ kis kis se judā huuñ
mujhe ma.alūm hai kitnā burā huuñ
ye kyā kam hai ki apnā aa.ina huuñ
koī dīvār sī TuuTī hai shāyad
maiñ andar hī kahīñ girne lagā huuñ
kabhī to sāmne ā.ūñgā apne
ki apnī raah meñ kab se khaḌā huuñ
mujhe ehsās ne gherā huā hai
maiñ apne-āp apnā dā.era huuñ
ye merā haath kis ke haath meñ hai
ye kis ke paañv haiñ jin par khaḌā huuñ
mire alfāz patthar ho ga.e haiñ
maiñ apne haath se zaḳhmī huā huuñ
ḳhud apne-āp ko āvāz de kar
na jaane 'ashk' kis ko DhūñDhtā huuñ
agar tujh se hun to phir aur kya hun
main kis jaisa hun kis kis se juda hun
mujhe malum hai kitna bura hun
ye kya kam hai ki apna aaina hun
koi diwar si TuTi hai shayad
main andar hi kahin girne laga hun
kabhi to samne aaunga apne
ki apni rah mein kab se khaDa hun
mujhe ehsas ne ghera hua hai
main apne-ap apna daera hun
ye mera hath kis ke hath mein hai
ye kis ke panw hain jin par khaDa hun
mere alfaz patthar ho gae hain
main apne hath se zaKHmi hua hun
KHud apne-ap ko aawaz de kar
na jaane 'ashk' kis ko DhunDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.