agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de
agar vo apne hasīn chehre ko bhuul kar be-naqāb kar de
to zarre ko māhtāb aur māhtāb ko āftāb kar de
tirī mohabbat kī vādiyoñ meñ mirī javānī se duur kyā hai
jo saada paanī ko ik nashīlī nazar meñ rangīñ sharāb kar de
harīm-e-ishrat meñ sone vaale shamīm-e-gesū kī mastiyoñ se
mirī javānī kī saada rātoñ ko ab to sarshār ḳhvāb kar de
maze vo paa.e haiñ aarzū meñ ki dil kī ye aarzū hai yārab
tamām duniyā kī ārzūeñ mire liye intiḳhāb kar de
nazar nā aane pe hai ye hālat ki jang hai shaiK-o-barhaman meñ
ḳhabar nahīñ kyā se kyā ho duniyā jo ḳhud ko vo be-naqāb kar de
mire gunāhoñ kī shorisheñ is liye ziyāda rahī haiñ yārab
ki in kī gustāḳhiyoñ se tū apne afv ko be-hisāb kar de
ḳhudā na laa.e vo din ki terī sunahrī nīñdoñ meñ farq aa.e
mujhe to yuuñ apne hijr meñ 'umr bhar ko bezār-e-ḳhvāb kar de
maiñ jān-o-dil se tasavvur-e-husn-e-dost kī mastiyoñ ke qurbāñ
jo ik nazar meñ kisī ke be-kaif āñsuoñ ko sharāb kar de
urūs-e-fitrat kā ek khoyā huā tabassum hai jis ko 'aḳhtar'
kahīñ vo chāhe sharāb kar de kahīñ vo chāhe shabāb kar de
agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de
to zarre ko mahtab aur mahtab ko aaftab kar de
teri mohabbat ki wadiyon mein meri jawani se dur kya hai
jo sada pani ko ek nashili nazar mein rangin sharab kar de
harim-e-ishrat mein sone wale shamim-e-gesu ki mastiyon se
meri jawani ki sada raaton ko ab to sarshaar KHwab kar de
maze wo pae hain aarzu mein ki dil ki ye aarzu hai yarab
tamam duniya ki aarzuen mere liye intiKHab kar de
nazar na aane pe hai ye haalat ki jang hai shaiK-o-barhaman mein
KHabar nahin kya se kya ho duniya jo KHud ko wo be-naqab kar de
mere gunahon ki shorishen is liye ziyaada rahi hain yarab
ki in ki gustaKHiyon se tu apne afw ko be-hisab kar de
KHuda na lae wo din ki teri sunahri nindon mein farq aae
mujhe to yun apne hijr mein 'umr bhar ko bezar-e-KHwab kar de
main jaan-o-dil se tasawwur-e-husn-e-dost ki mastiyon ke qurban
jo ek nazar mein kisi ke be-kaif aansuon ko sharab kar de
urus-e-fitrat ka ek khoya hua tabassum hai jis ko 'aKHtar'
kahin wo chahe sharab kar de kahin wo chahe shabab kar de
- Book : Kulliyat-e-Akhtar shirani (Pg. 262)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.