agar wo KHud hi bichhaD jaane ki dua karega
agar vo ḳhud hī bichhaḌ jaane kī duā karegā
to us se baḌh ke mire saath koī kyā karegā
sunā hai aaj vo marham pe choT rakkhegā
mujhī se mujh ko bhulāne kā mashvara karegā
taras rahī haiñ ye āñkheñ us ek manzar ko
jahāñ se lauT ke aane kā dukh huā karegā
agar ye phuul hai merī balā se murjhā.e
agar ye zaḳhm hai mālik use harā karegā
maiñ jāntī huuñ ki jitnā ḳhafā bhī ho jaa.e
vo mere shahr meñ aayā to rābta karegā
maiñ us se aur mohabbat se pesh ā.ūñgī
jo mere haq meñ koī 'ā.isha' burā karegā
agar wo KHud hi bichhaD jaane ki dua karega
to us se baDh ke mere sath koi kya karega
suna hai aaj wo marham pe choT rakkhega
mujhi se mujh ko bhulane ka mashwara karega
taras rahi hain ye aankhen us ek manzar ko
jahan se lauT ke aane ka dukh hua karega
agar ye phul hai meri bala se murjhae
agar ye zaKHm hai malik use hara karega
main jaanti hun ki jitna KHafa bhi ho jae
wo mere shahr mein aaya to rabta karega
main us se aur mohabbat se pesh aaungi
jo mere haq mein koi 'aisha' bura karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.