agar wo KHubsurat hai bhali hai
agar vo ḳhūbsūrat hai bhalī hai
hamārī ruuh bhī to sandalī hai
abhī raftār pakḌegī mohabbat
abhī to vo dabe pairoñ chalī hai
yaqīnan aa ga.e haiñ bazm meñ vo
nahīñ to is qadar kyoñ khalbalī hai
duā phir ġhaib se maañ ne hameñ dī
hamārī ik musībat phir Talī hai
dikhāvā hai mahz shā.istagī ye
tumhārī jab nazar hī manchalī hai
abhī muñh pher lenā ai qazā tū
ba-mushkil zindagī phūlī phalī hai
mayassar hai sabhī kuchh zindagī meñ
kamī par aap kī be-had khalī hai
agar wo KHubsurat hai bhali hai
hamari ruh bhi to sandali hai
abhi raftar pakDegi mohabbat
abhi to wo dabe pairon chali hai
yaqinan aa gae hain bazm mein wo
nahin to is qadar kyon khalbali hai
dua phir ghaib se man ne hamein di
hamari ek musibat phir Tali hai
dikhawa hai mahz shaistagi ye
tumhaari jab nazar hi manchali hai
abhi munh pher lena ai qaza tu
ba-mushkil zindagi phuli phali hai
mayassar hai sabhi kuchh zindagi mein
kami par aap ki be-had khali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.