Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta

Sulaiman Faraz Hasanpuri

agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta

Sulaiman Faraz Hasanpuri

MORE BYSulaiman Faraz Hasanpuri

    agar zaḳhmī na ho to ye jigar achchhā nahīñ lagtā

    ki be-āñsū mohabbat safar achchhā nahīñ lagtā

    tire bin shahr bhī jān-e-jigar achchhā nahīñ lagtā

    agar ghar meñ chalā jā.ūñ to ghar achchhā nahīñ lagtā

    bhaTak kar saarī duniyā meñ yahīñ par lauT aatā huuñ

    tire dar ke sivā koī bhī dar achchhā nahīñ lagtā

    savāl-e-ishq par mujh se bahāne kyoñ banātā hai

    mujh se saaf kah de maiñ agar achchhā nahīñ lagtā

    jidhar dekho udhar chāñd se chehre nazar aa.eñ

    mujhe tere sivā koī magar achchhā nahīñ lagtā

    mujhe tujh se mohabbat hai tirī yādoñ se raġhbat hai

    magar ye jāgnā bhī raat bhar achchhā nahīñ lagtā

    haiñ apnī jaan se pyārī mujhe ḳhuddāriyāñ apnī

    kisī ke sāmne jhuk jaa.e sar achchhā nahīñ lagtā

    koī majbūr ho kar vatan se duur rahtā hai

    nahīñ to kaun hai vo jis ko ghar achchhā nahīñ lagtā

    nahīñ hai e'tirāz-e-bandagī lekin mujhe nāseh

    jahāñ sar jhukātā hai vo dar achchhā nahīñ lagtā

    'farāz' ahl-e-suḳhan fan se tire mānūs haiñ lekin

    unheñ terā bulandī safar achchhā nahīñ lagtā

    agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta

    ki be-ansu mohabbat ka safar achchha nahin lagta

    tere bin shahr bhi jaan-e-jigar achchha nahin lagta

    agar ghar mein chala jaun to ghar achchha nahin lagta

    bhaTak kar sari duniya mein yahin par lauT aata hun

    tere dar ke siwa koi bhi dar achchha nahin lagta

    sawal-e-ishq par mujh se bahane kyon banata hai

    tu mujh se saf kah de main agar achchha nahin lagta

    jidhar dekho udhar hi chand se chehre nazar aaen

    mujhe tere siwa koi magar achchha nahin lagta

    mujhe tujh se mohabbat hai teri yaadon se raghbat hai

    magar ye jagna bhi raat bhar achchha nahin lagta

    hain apni jaan se pyari mujhe KHuddariyan apni

    kisi ke samne jhuk jae sar achchha nahin lagta

    koi majbur ho kar hi watan se dur rahta hai

    nahin to kaun hai wo jis ko ghar achchha nahin lagta

    nahin hai e'tiraaz-e-bandagi lekin mujhe naseh

    jahan sar tu jhukata hai wo dar achchha nahin lagta

    'faraaz' ahl-e-suKHan fan se tere manus hain lekin

    unhen tera bulandi ka safar achchha nahin lagta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now