agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi
agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
agarche aañkh bahut shoḳhiyoñ kī zad meñ rahī
mirī nigāh hamesha adab kī had meñ rahī
samajh sakā na koī zindagī kī arzish ko
ye jins-e-ḳhās trāzū-e-nek-o-bad meñ rahī
bahut buland huā tamkanat se tāj-e-shahī
kulāh-e-faqr magar nāzish-e-namad meñ rahī
hamesha dard se aarī rahā ye zāhid-e-ḳhushk
ye na.ash zinda sadā goshā-e-lahad meñ rahī
diloñ meñ baiTh gayā barhaman kā husn-e-bayāñ
hadīs-e-shaiḳh tilismāt-e-radd-o-kad meñ rahī
agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi
meri nigah hamesha adab ki had mein rahi
samajh saka na koi zindagi ki arzish ko
ye jins-e-KHas traazu-e-nek-o-bad mein rahi
bahut buland hua tamkanat se taj-e-shahi
kulah-e-faqr magar nazish-e-namad mein rahi
hamesha dard se aari raha ye zahid-e-KHushk
ye nash zinda sada gosha-e-lahad mein rahi
dilon mein baiTh gaya barhaman ka husn-e-bayan
hadis-e-shaiKH tilismat-e-radd-o-kad mein rahi
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 203)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.