agarche dard-e-mohabbat mein kuchh kami na hui
agarche dard-e-mohabbat meñ kuchh kamī na huī
hazār shukr ki be-kaif zindagī na huī
maiñ apne aap ko banda kahūñ to kaise kahūñ
jabīn-e-shauq to shāyān-e-bandagī na huī
sar-e-mazār jalā bhī agar charāġh to kyā
tah-e-mazār to sad-haif raushnī na huī
hamārā kaam mohabbat meñ jaan denā thā
nigāh-e-lutf kisī kī huī huī na huī
ġhazal ke kahne pe ahbāb ne kiyā majbūr
magar 'salām' haqīqat meñ shā.irī na huī
agarche dard-e-mohabbat mein kuchh kami na hui
hazar shukr ki be-kaif zindagi na hui
main apne aap ko banda kahun to kaise kahun
jabin-e-shauq to shayan-e-bandagi na hui
sar-e-mazar jala bhi agar charagh to kya
tah-e-mazar to sad-haif raushni na hui
hamara kaam mohabbat mein jaan dena tha
nigah-e-lutf kisi ki hui hui na hui
ghazal ke kahne pe ahbab ne kiya majbur
magar 'salam' haqiqat mein shairi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.