agarche raat zalim din kaDa hai
agarche raat zālim din kaḌā hai
zamāne se hamārā ġham baḌā hai
hamārī baat tak suntā nahīñ vo
ye kaise shaḳhs se paalā paḌā hai
panaptā hī nahīñ hai kuchh bhī mujh meñ
mire dil meñ koī murda gaḌā hai
havāoñ meñ udāsī bhar gayā hai
ye kaisā shāḳh se pattā jhaḌā hai
'umar-farhat’ hai bas ham ko uThānā
ye duniyā hai yahāñ kyā kyā paḌā hai
agarche raat zalim din kaDa hai
zamane se hamara gham baDa hai
hamari baat tak sunta nahin wo
ye kaise shaKHs se pala paDa hai
panapta hi nahin hai kuchh bhi mujh mein
mere dil mein koi murda gaDa hai
hawaon mein udasi bhar gaya hai
ye kaisa shaKH se patta jhaDa hai
'umar-farhat’ hai bas hum ko uThana
ye duniya hai yahan kya kya paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.