agarche tum sa banaya nahin gaya hun main
agarche tum sā banāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
magar banā ke miTāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
use ye dukh ki zamīñ tañg qāfiya mushkil
mujhe ye dukh ki nibhāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
maiñ jis taraf se mukammal dikhā.ī detā huuñ
usī taraf se dikhāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
ye inkisārī azal se mire ḳhamīr meñ hai
jhukā huā huuñ jhukāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
ġhurūr lāzmī unsur thā is vazārat kā
so ḳhud haTā huuñ haTāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
maiñ apnī zaat meñ ik mo'atabar havāla huuñ
kisī ke saath milāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
maiñ mas.aloñ meñ filistīn huuñ magar 'faisal'
kisī jagah pe uThāyā nahīñ gayā huuñ maiñ
agarche tum sa banaya nahin gaya hun main
magar bana ke miTaya nahin gaya hun main
use ye dukh ki zamin tang qafiya mushkil
mujhe ye dukh ki nibhaya nahin gaya hun main
main jis taraf se mukammal dikhai deta hun
usi taraf se dikhaya nahin gaya hun main
ye inkisari azal se mere KHamir mein hai
jhuka hua hun jhukaya nahin gaya hun main
ghurur lazmi unsur tha is wazarat ka
so KHud haTa hun haTaya nahin gaya hun main
main apni zat mein ek mo'atabar hawala hun
kisi ke sath milaya nahin gaya hun main
main masalon mein filistin hun magar 'faisal'
kisi jagah pe uThaya nahin gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.