agarche wusat-e-imkan nazar mein chhoD gaya
agarche vus.at-e-imkāñ nazar meñ chhoḌ gayā
safar kā shauq ġhubār-e-safar meñ chhoḌ gayā
kuchh aise guzrā hai pāgal havā kā ik jhoñkā
ajiib ḳhauf sā ik ik shajar meñ chhoḌ gayā
bichhaḌte vaqt jo us ne kahā thā chupke se
vo ek lafz mujhe rahguzar meñ chhoḌ gayā
na āhaTeñ na sadā.eñ na dastakeñ na umiid
na jaane kaun thā kuchh bhī na ghar meñ chhoḌ gayā
ubharte Dūbte guzrī tamām shab 'anjum'
udaas chāñd mujhe kis bhañvar meñ chhoḌ gayā
agarche wusat-e-imkan nazar mein chhoD gaya
safar ka shauq ghubar-e-safar mein chhoD gaya
kuchh aise guzra hai pagal hawa ka ek jhonka
ajib KHauf sa ek ek shajar mein chhoD gaya
bichhaDte waqt jo us ne kaha tha chupke se
wo ek lafz mujhe rahguzar mein chhoD gaya
na aahaTen na sadaen na dastaken na umid
na jaane kaun tha kuchh bhi na ghar mein chhoD gaya
ubharte Dubte guzri tamam shab 'anjum'
udas chand mujhe kis bhanwar mein chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.