agla sa kyon wo walwala-e-dil nahin raha
agla sa kyon wo walwala-e-dil nahin raha
Mansooruddin Quraishi Mansoor
MORE BYMansooruddin Quraishi Mansoor
aglā sā kyoñ vo valvala-e-dil nahīñ rahā
kyoñ shauq-e-sair-e-kūcha-e-qātil nahīñ rahā
ab kyoñ vabāl-e-jān huī jā rahī hai ziist
kyā ab tire sitam ke bhī qābil nahīñ rahā
me.ār-e-husn-o-ishq kī pastī ko dekh kar
apnā to dil lagāne kā ab dil nahīñ rahā
aisā bhī ho kisī kā na zauq-e-nazar buland
ye kyā ki koī pyaar ke qābil nahīñ rahā
qadreñ badal ga.ī haiñ zamāne ke saath saath
ab ishq bhī hayāt kā hāsil nahīñ rahā
juzv-e-hayāt ban ga.iiñ tūfāñ kī shorisheñ
armān-e-ham-kinārī-e-sāhil nahīñ rahā
'mansūr' kyā hai ab jo karūñ un pe maiñ nisār
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
agla sa kyon wo walwala-e-dil nahin raha
kyon shauq-e-sair-e-kucha-e-qatil nahin raha
ab kyon wabaal-e-jaan hui ja rahi hai zist
kya ab tere sitam ke bhi qabil nahin raha
mear-e-husn-o-ishq ki pasti ko dekh kar
apna to dil lagane ka ab dil nahin raha
aisa bhi ho kisi ka na zauq-e-nazar buland
ye kya ki koi pyar ke qabil nahin raha
qadren badal gai hain zamane ke sath sath
ab ishq bhi hayat ka hasil nahin raha
juzw-e-hayat ban gain tufan ki shorishen
arman-e-ham-kinari-e-sahil nahin raha
'mansur' kya hai ab jo karun un pe main nisar
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.