Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agle paDaw par yunhi KHema lagaoge

Abid Munavari

agle paDaw par yunhi KHema lagaoge

Abid Munavari

MORE BYAbid Munavari

    agle paḌāv par yūñhī ḳhema lagāoge

    jitnī bhī hai safar thakan bhuul jāoge

    bāhar havā-e-tez lagā.e hue hai ghaat

    ghar se jo nikle ab ki palaT kar na aaoge

    har shaḳhs apne aap meñ masrūf hai yahāñ

    kis ko fasāna-e-dil-e-muztar sunāoge

    tābinda-ḳhvāb dekh kar āñkheñ khuleñgī jab

    zulmāt ke baġhair yahāñ kuchh na pāoge

    ik dūsre se ho ke alag ḳhush rahegā kaun

    taḌpeñge ham bhī ḳhud bhī tum aañsū bahāoge

    to rahe ho jins-e-vafā talāsh meñ

    saath apne yāsiyat ke sivā kuchh na lāoge

    girdāb sāmne hai muḳhālif havā.eñ haiñ

    kashtī ko kaise jānib-e-sāhil ghumāoge

    jis ko ḳhulūs samjhe hue the vo kyā huā

    kitnā yaqīn thā tumheñ dhokā na khāoge

    parbat haiñ barf-posh qadam dekh-bhāl kar

    'ābid' phisal ga.e to sambhalne na pāoge

    agle paDaw par yunhi KHema lagaoge

    jitni bhi hai safar ki thakan bhul jaoge

    bahar hawa-e-tez lagae hue hai ghat

    ghar se jo nikle ab ki palaT kar na aaoge

    har shaKHs apne aap mein masruf hai yahan

    kis ko fasana-e-dil-e-muztar sunaoge

    tabinda-KHwab dekh kar aankhen khulengi jab

    zulmat ke baghair yahan kuchh na paoge

    ek dusre se ho ke alag KHush rahega kaun

    taDpenge hum bhi KHud bhi tum aansu bahaoge

    ja to rahe ho jins-e-wafa ki talash mein

    sath apne yasiyat ke siwa kuchh na laoge

    girdab samne hai muKHalif hawaen hain

    kashti ko kaise jaanib-e-sahil ghumaoge

    jis ko KHulus samjhe hue the wo kya hua

    kitna yaqin tha tumhein dhoka na khaoge

    parbat hain barf-posh qadam dekh-bhaal kar

    'abid' phisal gae to sambhalne na paoge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now