ahd-e-junun mein arsa-e-wahshat guzarna
ahd-e-junūñ meñ arsa-e-vahshat guzārnā
jaise shab-e-visāl meñ furqat guzārnā
jaanā surāġh-e-jauhar-e-taḳhlīq DhūñDne
aur us ke ba.ad ālam-e-hairat guzārnā
karnā hayāt pahlū-e-aivān-e-dard meñ
rozāna ek roz-e-qayāmat guzārnā
ab tak to hai uruus badan ke nasīb meñ
zulfoñ pe ḳhaak Dālnā iddat guzārnā
jīvan sazā-e-maut se pahle kā khel hai
sab ko hai ye milī huī mohlat guzārnā
'ākāsh' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din
phir tā-abad sukūn kī hālat guzārnā
ahd-e-junun mein arsa-e-wahshat guzarna
jaise shab-e-visal mein furqat guzarna
jaana suragh-e-jauhar-e-taKHliq DhunDne
aur us ke baad aalam-e-hairat guzarna
karna hayat pahlu-e-aiwan-e-dard mein
rozana ek roz-e-qayamat guzarna
ab tak to hai urus badan ke nasib mein
zulfon pe KHak Dalna iddat guzarna
jiwan saza-e-maut se pahle ka khel hai
sab ko hai ye mili hui mohlat guzarna
'akash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din
phir ta-abad sukun ki haalat guzarna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.