ahd-e-ulfat mein ye KHadsha kab tha
ahd-e-ulfat meñ ye ḳhadsha kab thā
tum se bichhḌeñge ye sochā kab thā
raat ā.īna jo dekhā to lagā
itnā vīrāñ merā chehra kab thā
mujh pe ilzām lagāne vaale
tū mujhe Thiik se samjhā kab thā
yaad ā.eñgī vo rim-jhim āñkheñ
ghar se chalte hue sochā kab thā
us ko nazdīk se dekhā 'ārif'
aaj jaisā hai kal aisā kab thā
ahd-e-ulfat mein ye KHadsha kab tha
tum se bichhDenge ye socha kab tha
raat aaina jo dekha to laga
itna viran mera chehra kab tha
mujh pe ilzam lagane wale
tu mujhe Thik se samjha kab tha
yaad aaengi wo rim-jhim aankhen
ghar se chalte hue socha kab tha
us ko nazdik se dekha 'arif'
aaj jaisa hai kal aisa kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.