Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar

Nihal Sevharvi

ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar

Nihal Sevharvi

MORE BYNihal Sevharvi

    ahd hāzir meñ ayār-e-sub.h to badlā magar

    ai añdherī raat tujh ko bhī badalnā chāhiye

    bāvajūd-e-ġham musalsal qahqahe ai nā-murād

    kārvān-e-zindagī ke saath chalnā chāhiye

    shān-e-rindāna hai tauhīn az-ḳhud-raftagī

    sahl hai piinā magar kar sambhalnā chāhiye

    zindagī vo kyā jo hai nā-vāqif-e-āshob-e-ishq

    sīna-e-ādam meñ tūfānoñ ko palnā chāhiye

    iqtizā-e-asr-e-nau hai zindagī to darkinār

    maut ko bhī husn ke sāñche meñ Dhalnā chāhiye

    ai junūñ kuchh der shaġhl-e-ḳhāk-bāzī sahī

    dil to is sahrā-e-hastī meñ bahalnā chāhiye

    ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar

    ai andheri raat tujh ko bhi badalna chahiye

    bawajud-e-gham musalsal qahqahe ai na-murad

    karwan-e-zindagi ke sath chalna chahiye

    shan-e-rindana ki hai tauhin az-KHud-raftagi

    sahl hai pina magar pi kar sambhalna chahiye

    zindagi wo kya jo hai na-waqif-e-ashob-e-ishq

    sina-e-adam mein tufanon ko palna chahiye

    iqtiza-e-asr-e-nau hai zindagi to darkinar

    maut ko bhi husn ke sanche mein Dhalna chahiye

    ai junun kuchh der shaghl-e-KHak-bazi hi sahi

    dil to is sahra-e-hasti mein bahalna chahiye

    Source :
    • Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 900)
    • Author : Dr. Abdul Wahid
    • Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now