ahl-e-dair-o-haram rah gae
ahl-e-dair-o-haram rah ga.e
tere dīvāne kam rah ga.e
miT ga.e manziloñ ke nishāñ
sirf naqsh-e-qadam rah ga.e
ham ne har shai sañvārī magar
un kī zulfoñ ke ḳham rah ga.e
be-takalluf vo auroñ se haiñ
naaz uThāne ko ham rah ga.e
riñd jannat meñ jā bhī chuke
vā.iz-e-mohtaram rah ga.e
dekh kar terī tasvīr ko
aa.ina ban ke ham rah ga.e
ai 'fanā' terī taqdīr meñ
saarī duniyā ke ġham rah ga.e
ahl-e-dair-o-haram rah gae
tere diwane kam rah gae
miT gae manzilon ke nishan
sirf naqsh-e-qadam rah gae
hum ne har shai sanwari magar
un ki zulfon ke KHam rah gae
be-takalluf wo auron se hain
naz uThane ko hum rah gae
rind jannat mein ja bhi chuke
waiz-e-mohtaram rah gae
dekh kar teri taswir ko
aaina ban ke hum rah gae
ai 'fana' teri taqdir mein
sari duniya ke gham rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.