Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain

Sahir Ludhianvi

ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    ahl-e-dil aur bhī haiñ ahl-e-vafā aur bhī haiñ

    ek ham nahīñ duniyā se ḳhafā aur bhī haiñ

    ham pe ḳhatm nahīñ maslak-e-shorīda-sarī

    chāk-e-dil aur bhī haiñ chāk-e-qabā aur bhī haiñ

    kyā huā gar mire yāroñ zabāneñ chup haiñ

    mere shāhid mire yāroñ ke sivā aur bhī haiñ

    sar salāmat hai to kyā sañg-e-malāmat kamī

    jaan baaqī hai to paikān-e-qazā aur bhī haiñ

    munsif-e-shahr vahdat pe na harf aa jaa.e

    log kahte haiñ ki arbāb-e-jafā aur bhī haiñ

    ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain

    ek hum hi nahin duniya se KHafa aur bhi hain

    hum pe hi KHatm nahin maslak-e-shorida-sari

    chaak-e-dil aur bhi hain chaak-e-qaba aur bhi hain

    kya hua gar mere yaron ki zabanen chup hain

    mere shahid mere yaron ke siwa aur bhi hain

    sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami

    jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain

    munsif-e-shahr ki wahdat pe na harf aa jae

    log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now