ahl-e-dil mushkil mein hain ahl-e-nazar mushkil mein hain
ahl-e-dil mushkil meñ haiñ ahl-e-nazar mushkil meñ haiñ
aaj maiñ kyā mere saare ham-safar mushkil meñ haiñ
zindagī kī uljhanoñ kā kyā mudāvā kījiye
zaḳhm baḌhte jā rahe haiñ chāra-gar mushkil meñ haiñ
ye sukūt-e-shab ye zulmat aur ham shorīda-sar
ruḳhsat ai zindāñ tire dīvār-o-dar mushkil meñ haiñ
vo bahut achchhe haiñ tum jin kī nazar meñ kuchh nahīñ
ham ko dekho ham tumheñ pahchān kar mushkil meñ haiñ
ahl-e-dil mushkil mein hain ahl-e-nazar mushkil mein hain
aaj main kya mere sare ham-safar mushkil mein hain
zindagi ki uljhanon ka kya mudawa kijiye
zaKHm baDhte ja rahe hain chaara-gar mushkil mein hain
ye sukut-e-shab ye zulmat aur hum shorida-sar
ruKHsat ai zindan tere diwar-o-dar mushkil mein hain
wo bahut achchhe hain tum jin ki nazar mein kuchh nahin
hum ko dekho hum tumhein pahchan kar mushkil mein hain
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 217)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.