ahl-e-jahan ko mujhse adawat hai kya karun
ahl-e-jahāñ ko mujh se adāvat hai kyā karūñ
ye tarz-e-intiqām-e-mohabbat hai kyā karūñ
nākāmī-e-vafā pe nadāmat hai kyā karūñ
ai dil ye ek talḳh haqīqat hai kyā karūñ
ḳhud ġham-pasand merī tabī.at hai kyā karūñ
is ko har ek rañj meñ rāhat hai kyā karūñ
iz.hār-e-dard-e-dil bhī kuchh āsāñ nahīñ magar
zabt-e-sitam bhī ek musībat hai kyā karūñ
apnā rahā huuñ ġham ko baḌe ehtirām se
roz-e-azal se ye mirī aadat hai kyā karūñ
dil kā qarār chhīn liyā kis kī yaad ne
ye zindagī-e-hijr musībat hai kyā karūñ
mere payām-e-mehr-o-vafā kā asar ho kyā
duniyā hī be-niyāz-e-mohabbat hai kyā karūñ
be-vaj.h jis ke naaz uThātā huuñ raat din
us bevafā ko mujh se adāvat hai kyā karūñ
apnī musībatoñ kā kisī se gila nahīñ
apnā hī dil mire liye aafat hai kyā karūñ
dil meñ taḌap hai soz hai ġham hai malāl hai
ai jazb-e-shauq ye mirī qismat hai kyā karūñ
armān aish kā na tamannā nashāt kī
jo mil gayā usī pe qanā.at hai kyā karūñ
himmat-shikan haiñ rāh-e-mohabbat ke marhale
har moḌ har qadam pe musībat hai kyā karūñ
ḳhud merā dil bhī baat mirī māntā nahīñ
is par bhī ab kisī kī hukūmat hai kyā karūñ
kyā ḳhuub hai ye ālam-e-duniyā-e-shauq bhī
ik bevafā se mujh ko mohabbat hai kyā karūñ
aa.e na aa.e dil ko yaqīñ lekin ai 'kañval'
un ke har ek va.ade meñ lazzat hai kyā karūñ
ahl-e-jahan ko mujh se adawat hai kya karun
ye tarz-e-intiqam-e-mohabbat hai kya karun
nakaami-e-wafa pe nadamat hai kya karun
ai dil ye ek talKH haqiqat hai kya karun
KHud gham-pasand meri tabiat hai kya karun
is ko har ek ranj mein rahat hai kya karun
izhaar-e-dard-e-dil bhi kuchh aasan nahin magar
zabt-e-sitam bhi ek musibat hai kya karun
apna raha hun gham ko baDe ehtiram se
roz-e-azal se ye meri aadat hai kya karun
dil ka qarar chhin liya kis ki yaad ne
ye zindagi-e-hijr musibat hai kya karun
mere payam-e-mehr-o-wafa ka asar ho kya
duniya hi be-niyaz-e-mohabbat hai kya karun
be-wajh jis ke naz uThata hun raat din
us bewafa ko mujh se adawat hai kya karun
apni musibaton ka kisi se gila nahin
apna hi dil mere liye aafat hai kya karun
dil mein taDap hai soz hai gham hai malal hai
ai jazb-e-shauq ye meri qismat hai kya karun
arman aish ka na tamanna nashat ki
jo mil gaya usi pe qanaat hai kya karun
himmat-shikan hain rah-e-mohabbat ke marhale
har moD har qadam pe musibat hai kya karun
KHud mera dil bhi baat meri manta nahin
is par bhi ab kisi ki hukumat hai kya karun
kya KHub hai ye aalam-e-duniya-e-shauq bhi
ek bewafa se mujh ko mohabbat hai kya karun
aae na aae dil ko yaqin lekin ai 'kanwal'
un ke har ek wade mein lazzat hai kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.