ahl-e-junun ka jab bhi chaman mein guzar hua
ahl-e-junūñ kā jab bhī chaman meñ guzar huā
arbāb-e-fikr ke liye ik dard-e-sar huā
unvāñ har aarzū kā ba-shart-e-nazar huā
afsāna ḳhatm sab kā tire naam par huā
nākāmiyoñ se hausle kuchh aur baḌh ga.e
sau dar khule haiñ band agar ek dar huā
merā mazāq tīrgī-e-shab hai dosto
vo koī aur hogā jo vaqf-e-sahar huā
apnoñ hī kī harīf-e-nazar khā ga.ī use
paidā jahāñ chaman meñ koī dīda-var huā
tere hī iltifāt kā mannat-guzār hai
jo hādisa bhī vaqt se kuchh peshtar huā
nā-puḳhtagī-e-shauq ke aalam meñ ai 'nazar'
jo markaz-e-ḳhayāl banā muntashar huā
ahl-e-junun ka jab bhi chaman mein guzar hua
arbab-e-fikr ke liye ek dard-e-sar hua
unwan har aarzu ka ba-shart-e-nazar hua
afsana KHatm sab ka tere nam par hua
nakaamiyon se hausle kuchh aur baDh gae
sau dar khule hain band agar ek dar hua
mera mazaq tirgi-e-shab hai dosto
wo koi aur hoga jo waqf-e-sahar hua
apnon hi ki harif-e-nazar kha gai use
paida jahan chaman mein koi dida-war hua
tere hi iltifat ka mannat-guzar hai
jo hadisa bhi waqt se kuchh peshtar hua
na-puKHtagi-e-shauq ke aalam mein ai 'nazar'
jo markaz-e-KHayal bana muntashar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.