ahl-e-suKHan bataen mujhe martaba mera
ahl-e-suḳhan batā.eñ mujhe martaba mirā
ġhālib ne aa ke ḳhvāb meñ matl.a sunā mirā
aayā thā ghūmne ke liye maiñ to chaar din
kis ne banā diyā hai yahāñ maqbara mirā
phir muskurā rahā hai koī muñh pe rakh ke haath
phir aazmā rahā hai koī hausla mirā
tab mujh pe ye khulā koī andar kī choT hai
jab aa.ine meñ aks bhī dhuñdlā gayā mirā
ahl-e-suKHan bataen mujhe martaba mera
ghaalib ne aa ke KHwab mein matla suna mera
aaya tha ghumne ke liye main to chaar din
kis ne bana diya hai yahan maqbara mera
phir muskura raha hai koi munh pe rakh ke hath
phir aazma raha hai koi hausla mera
tab mujh pe ye khula koi andar ki choT hai
jab aaine mein aks bhi dhundla gaya mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.