ahl-e-wafa wafa ka samar mangte nahin
ahl-e-vafā vafā kā samar māñgte nahīñ
dil māñgte haiñ la.al-o-gohar māñgte nahīñ
apnā vaqār apnī ḳhudī jin ko hai aziiz
vo har kisī se lutf-o-nazar māñgte nahīñ
apne jamāl-e-nūr kā kuchh aks dījiye
ham aap se to shams-o-qamar māñgte nahīñ
karte haiñ bil-mushāfa sitāroñ se guftugū
kirnoñ kī bhiik ahl-e-nazar māñgte nahīñ
un kā ḳhulūs chāhiye un kī nigāh-e-lutf
'ātish' kisī se daulat-o-zar māñgte nahīñ
ahl-e-wafa wafa ka samar mangte nahin
dil mangte hain lal-o-gohar mangte nahin
apna waqar apni KHudi jin ko hai aziz
wo har kisi se lutf-o-nazar mangte nahin
apne jamal-e-nur ka kuchh aks dijiye
hum aap se to shams-o-qamar mangte nahin
karte hain bil-mushafa sitaron se guftugu
kirnon ki bhik ahl-e-nazar mangte nahin
un ka KHulus chahiye un ki nigah-e-lutf
'atish' kisi se daulat-o-zar mangte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.