ahrman hai na KHuda hai mera dil
ahrman hai na ḳhudā hai mirā dil
hujra-e-haft-balā hai mirā dil
mahbat-e-rūh-e-azal merā dimāġh
aur āseb-zada hai mirā dil
sar jhukā kar mire siine se suno
kitnī sadiyoñ kī sadā hai mirā dil
ajnabī-zād huuñ is shahr meñ maiñ
ajnabī mujh se sivā hai mirā dil
aao qasd-e-safar-e-najd kareñ
raah hai rāh-numā hai mirā dil
chand benām-o-nishāñ qabroñ kā
maiñ azā-dār huuñ yā hai mirā dil
na taqāzā hai kisī se na talab
mudda.ā hai na duā hai mirā dil
raakh ban ban ke uḌī hai mirī ruuh
ḳhuun ho ho ke bahā hai mirā dil
pahle maiñ dil pe ḳhafā hotā thā
aur ab mujh se ḳhafā hai mirā dal
ahrman hai na KHuda hai mera dil
hujra-e-haft-bala hai mera dil
mahbat-e-ruh-e-azal mera dimagh
aur aaseb-zada hai mera dil
sar jhuka kar mere sine se suno
kitni sadiyon ki sada hai mera dil
ajnabi-zad hun is shahr mein main
ajnabi mujh se siwa hai mera dil
aao qasd-e-safar-e-najd karen
rah hai rah-numa hai mera dil
chand benam-o-nishan qabron ka
main aza-dar hun ya hai mera dil
na taqaza hai kisi se na talab
muddaa hai na dua hai mera dil
rakh ban ban ke uDi hai meri ruh
KHun ho ho ke baha hai mera dil
pahle main dil pe KHafa hota tha
aur ab mujh se KHafa hai mera dal
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 29)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.