ai bagh-e-haya dil ki girah khol suKHan bol
ai bāġh-e-hayā dil kī girah khol suḳhan bol
tañgī hai mire haal par ai ġhuncha-dahan bol
ai aah sunā us kuuñ mire haal kī arzī
tujh zulf ke pechoñ ne diyā mujh kuuñ shikan bol
muddat satī parvāna tuuñ hamdard mirā hai
us sham.a señ terī jo lagī aaj lagan bol
aatī hai tujhe dekh ke gul-rū kī galī yaad
ai bulbul-e-betāb mujhe apnā vatan bol
ḳhāmosh na ho soz-e-'sirāj' aaj kī shab pūchh
bhaḌkī hai mire dil meñ tire ġham kī agan bol
ai bagh-e-haya dil ki girah khol suKHan bol
tangi hai mere haal par ai ghuncha-dahan bol
ai aah suna us kun mere haal ki arzi
tujh zulf ke pechon ne diya mujh kun shikan bol
muddat sati parwana tun hamdard mera hai
us shama sen teri jo lagi aaj lagan bol
aati hai tujhe dekh ke gul-ru ki gali yaad
ai bulbul-e-betab mujhe apna watan bol
KHamosh na ho soz-e-'siraj' aaj ki shab puchh
bhaDki hai mere dil mein tere gham ki agan bol
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 458)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.