ai be-dilo harif-e-shab-e-tar kyun hue
ai be-dilo harīf-e-shab-e-tār kyuuñ hue
kachchī agar thī niiñd to bedār kyuuñ hue
sahrā ko aaj kostī phirtī haiñ āñdhiyāñ
dīvāne gulsitāñ ke taraf-dār kyuuñ hue
sust-e.atibāriyoñ ko nahīñ tāb-e-intizār
vā'de sahar ke sarf-e-shab-e-tār kyuuñ hue
sharmā gayā chaman meñ tabassum bahār kā
ham gul-farosh zaḳhm-e-dil-e-zār kyuuñ hue
kyā gulsitāñ meñ thī safar-āmāda bū-e-gul
jhoñke havā ke qāfila-sālār kyuuñ hue
ai zindagī naqāb ulaT kar javāb de
fan ham se pūchhtā hai ki fankār kyuuñ hue
ai be-dilo harif-e-shab-e-tar kyun hue
kachchi agar thi nind to bedar kyun hue
sahra ko aaj kosti phirti hain aandhiyan
diwane gulsitan ke taraf-dar kyun hue
sust-eatibariyon ko nahin tab-e-intizar
wa'de sahar ke sarf-e-shab-e-tar kyun hue
sharma gaya chaman mein tabassum bahaar ka
hum gul-farosh zaKHm-e-dil-e-zar kyun hue
kya gulsitan mein thi safar-amada bu-e-gul
jhonke hawa ke qafila-salar kyun hue
ai zindagi naqab ulaT kar jawab de
fan hum se puchhta hai ki fankar kyun hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.