ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de
ai dasht-e-ārzū mujhe manzil kī aas de
merī thakan ko gard-e-safar kā libās de
parvardigār tū ne samundar to de diye
ab mere ḳhushk hoñToñ ko sahrā kī pyaas de
fursat kahāñ ki zehn masā.il se laḌ sakeñ
is nasl ko kitāb na de iqtibās de
aañsū na pī sakeñge ye tanhā.iyoñ kā zahr
baḳhshā hai ġham mujhe to koī ġham-shanās de
lafzoñ meñ jazb ho gayā sab zindagī kā zahr
lahja bachā hai is ko ġhazal kī miThās de
ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de
meri thakan ko gard-e-safar ka libas de
parwardigar tu ne samundar to de diye
ab mere KHushk honTon ko sahra ki pyas de
fursat kahan ki zehn masail se laD saken
is nasl ko kitab na de iqtibas de
aansu na pi sakenge ye tanhaiyon ka zahr
baKHsha hai gham mujhe to koi gham-shanas de
lafzon mein jazb ho gaya sab zindagi ka zahr
lahja bacha hai is ko ghazal ki miThas de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.