ai dasht-e-shab-guzar teri aas ka hiran
ai dasht-e-shab-guzār tirī aas kā hiran
khaa.ī meñ yaas kī jo girā ro paḌī pavan
jā kar dayār-e-marg meñ chhoḌ aa.iye use
jo ghūmtā hai oḌhe hue dard kā kafan
ab tujh se hī jalā.ūñgā ye gul-shuda charāġh
ai TimTimātī raat Dhale chāñd kī kiran
ab tere ḳhat ko DhūñD rahā huuñ varaq varaq
uktā chukā hai harf-o-hikāyat se merā man
āvāz aa rahī hai fasīl-e-najāt se
terī kamī khaTaktī hai ai mere ham-vatan
yazdāñ ḳhatā muaaf girā jā rahā huuñ maiñ
phir aadmī ke bhes meñ aayā hai ahrman
ai dasht-e-shab-guzar teri aas ka hiran
khai mein yas ki jo gira ro paDi pawan
ja kar dayar-e-marg mein chhoD aaiye use
jo ghumta hai oDhe hue dard ka kafan
ab tujh se hi jalaunga ye gul-shuda charagh
ai TimTimati raat Dhale chand ki kiran
ab tere KHat ko DhunD raha hun waraq waraq
ukta chuka hai harf-o-hikayat se mera man
aawaz aa rahi hai fasil-e-najat se
teri kami khaTakti hai ai mere ham-watan
yazdan KHata muaf gira ja raha hun main
phir aadmi ke bhes mein aaya hai ahrman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.