ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch
ai dil aatā hai chaman meñ vo sharābī tū pahuñch
le ke pyāla gul kā ġhuncha kī gulābī tū pahuñch
bhar ke sāġhar kījiye ḳhālī ġham-e-daurāñ se dil
ab na kar tāḳhīr ai saaqī shitābī tū pahuñch
pahne qāsid jab talak yak-bār sharh-e-ishtiyāq
le kar ai betāb dil kī iztirābī tū pahuñch
ḳhvāhish-e-dil hai ki kiije sair-e-aqlīm-e-junūñ
Tuk madad ko us kī ai ḳhāna-ḳharābī tū pahuñch
jaa.e hai tanhā shab-e-tārīk meñ vo mehr-vash
āh-e-ātish-bār le kar māhtābī tū pahuñch
tā na phir shā'ir likheñ tausīf-e-bālā-e-butāñ
misra'-e-mauzūñ-o-sher-e-intiḳhābī tū pahuñch
jalva-farmā aaj hai taḳht-e-chaman par shāh-e-gul
le kar ai paik-e-sabā chitr-e-sahābī tū pahuñch
musht-e-ḳhāk apnī ko aalam meñ na zaa.e' kar 'azīz
hind se le tā-najaf ai bū-turābī tū pahuñch
ai 'muhib' ḳhvāhish gazak kī ho jo is mai-ḳhvār ko
hai tirā siina to dūkān-e-kabābī to pahuñch
ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch
le ke pyala gul ka ghuncha ki gulabi tu pahunch
bhar ke saghar kijiye KHali gham-e-dauran se dil
ab na kar taKHir ai saqi shitabi tu pahunch
pahne qasid jab talak yak-bar sharh-e-ishtiyaq
le kar ai betab dil ki iztirabi tu pahunch
KHwahish-e-dil hai ki kije sair-e-aqlim-e-junun
Tuk madad ko us ki ai KHana-KHarabi tu pahunch
jae hai tanha shab-e-tarik mein wo mehr-wash
aah-e-atish-bar le kar mahtabi tu pahunch
ta na phir sha'ir likhen tausif-e-baala-e-butan
misra'-e-mauzun-o-sher-e-intiKHabi tu pahunch
jalwa-farma aaj hai taKHt-e-chaman par shah-e-gul
le kar ai paik-e-saba chitr-e-sahabi tu pahunch
musht-e-KHak apni ko aalam mein na zae' kar 'aziz
hind se le ta-najaf ai bu-turabi tu pahunch
ai 'muhib' KHwahish gazak ki ho jo is mai-KHwar ko
hai tera sina to dukan-e-kababi to pahunch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.