ai dil apni tu chah par mat phul
ai dil apnī tū chaah par mat phuul
dilbaroñ kī nigāh par mat phuul
ishq kartā hai hosh ko barbād
aql kī rasm-o-rāh par mat phuul
daam hai vo are kamand hai vo
dekh zulf-e-siyāh par mat phuul
vaah kah kar jo hai vo hañs detā
aah is Dhab kī vaah par mat phuul
gir paḌegā 'nazīr' kī mānind
tū zanaḳhdāñ kī chaah par mat phuul
ai dil apni tu chah par mat phul
dilbaron ki nigah par mat phul
ishq karta hai hosh ko barbaad
aql ki rasm-o-rah par mat phul
dam hai wo are kamand hai wo
dekh zulf-e-siyah par mat phul
wah kah kar jo hai wo hans deta
aah is Dhab ki wah par mat phul
gir paDega 'nazir' ki manind
tu zanaKHdan ki chah par mat phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.