ai dil-e-dard-ashna husn se rasm-o-rah kar
ai dil-e-dard-āshnā husn se rasm-o-rāh kar
ishq hai bā.is-e-najāt shauq se to gunāh kar
lutf bhī gāh-gāh kar zulm bhī be-panāh kar
jaise bhī tujh se ho sake mujh se magar nibāh kar
mere savāl-e-vasl par aaj vo mujh se kah ga.e
tū abhī chand roz aur hijr meñ aah aah kar
husn tire huzūr ḳhud aa.e ba-iztirāb-e-dil
ai dil-e-dard-āshnā aisī bhī ek aah kar
shauq hai gar vaqār kā gulshan-e-rozgār meñ
phūloñ ke saath hī 'azīz' kāñToñ se bhī nibāh kar
ai dil-e-dard-ashna husn se rasm-o-rah kar
ishq hai bais-e-najat shauq se to gunah kar
lutf bhi gah-gah kar zulm bhi be-panah kar
jaise bhi tujh se ho sake mujh se magar nibah kar
mere sawal-e-wasl par aaj wo mujh se kah gae
tu abhi chand roz aur hijr mein aah aah kar
husn tere huzur KHud aae ba-iztirab-e-dil
ai dil-e-dard-ashna aisi bhi ek aah kar
shauq hai gar waqar ka gulshan-e-rozgar mein
phulon ke sath hi 'aziz' kanTon se bhi nibah kar
- Book : Mehraab (Pg. 58)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.