ai dil mujhe aisi jagah le chal jahan koi na ho
ai dil mujhe aisi jagah le chal jahan koi na ho
Majrooh Sultanpuri
MORE BYMajrooh Sultanpuri
ai dil mujhe aisī jagah le chal jahāñ koī na ho
apnā parāyā mehrbāñ nā-mehrbāñ koī na ho
jā kar kahīñ kho jā.ūñ maiñ niiñd aa.e aur so jā.ūñ maiñ
duniyā mujhe DhūñDe magar merā nishāñ koī na ho
ulfat kā badla mil gayā vo ġham luTā vo dil gayā
chalnā hai sab se duur duur ab kārvāñ koī na ho
ai dil mujhe aisi jagah le chal jahan koi na ho
apna paraya mehrban na-mehrban koi na ho
ja kar kahin kho jaun main nind aae aur so jaun main
duniya mujhe DhunDe magar mera nishan koi na ho
ulfat ka badla mil gaya wo gham luTa wo dil gaya
chalna hai sab se dur dur ab karwan koi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.