ai dil na sun afsana kisi shoKH hasin ka
ai dil na sun afsāna kisī shoḳh hasīñ kā
nā-āqibat-andesh rahegā na kahīñ kā
duniyā kā rahā hai dil-e-nākām na diiñ kā
is ishq-e-bad-anjām ne rakkhā na kahīñ kā
haiñ taak meñ ik shoḳh kī duz-dīda nigāheñ
allāh nigahbān hai ab jān-e-hazīñ kā
hālat dil-e-betāb kī dekhī nahīñ jaatī
behtar hai ki ho jaa.e ye paivand zamīñ kā
go qadr vahāñ ḳhaak bhī hotī nahīñ merī
har vaqt tasavvur hai magar dil meñ vahīñ kā
har āshiq-e-jāñ-bāz ko Dar ai sitam-ārā
talvār se baḌh kar hai tirī chīn-e-jabīñ kā
kuchh saḳhti-e-duniyā kā mujhe ġham nahīñ 'ahsan'
khaTkā hai magar dil ko dam-e-bāz-pasīñ kā
ai dil na sun afsana kisi shoKH hasin ka
na-aqibat-andesh rahega na kahin ka
duniya ka raha hai dil-e-nakaam na din ka
is ishq-e-bad-anjam ne rakkha na kahin ka
hain tak mein ek shoKH ki duz-dida nigahen
allah nigahban hai ab jaan-e-hazin ka
haalat dil-e-betab ki dekhi nahin jati
behtar hai ki ho jae ye paiwand zamin ka
go qadr wahan KHak bhi hoti nahin meri
har waqt tasawwur hai magar dil mein wahin ka
har aashiq-e-jaan-baz ko Dar ai sitam-ara
talwar se baDh kar hai teri chin-e-jabin ka
kuchh saKHti-e-duniya ka mujhe gham nahin 'ahsan'
khaTka hai magar dil ko dam-e-baz-pasin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.