ai dost ek nigah teri kya badal gai
ai dost ik nigāh tirī kyā badal ga.ī
hasrat-kashān-e-shauq kī duniyā badal ga.ī
saaqī kī ik nigāh-e-karam kyā badal ga.ī
goyā sarisht-e-sāġhar-o-mīnā badal ga.ī
jo saañs hai payām-bar-e-soz-e-ishq hai
ab tarz-e-iltimās-e-tamannā badal ga.ī
dil thā bujhā bujhā magar ik haal par to thā
zālim nigāh-e-lutf to duniyā badal ga.ī
ai dost ek nigah teri kya badal gai
hasrat-kashan-e-shauq ki duniya badal gai
saqi ki ek nigah-e-karam kya badal gai
goya sarisht-e-saghar-o-mina badal gai
jo sans hai payam-bar-e-soz-e-ishq hai
ab tarz-e-iltimas-e-tamanna badal gai
dil tha bujha bujha magar ek haal par to tha
zalim nigah-e-lutf to duniya badal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.