ai gham tujhi se kyon na KHushi mustaar lun
ai ġham tujhī se kyoñ na ḳhushī musta.ār luuñ
do din kī zindagī hai to hañs kar guzār luuñ
mumkin nahīñ ki mil sake ye jins-e-be-bahā
maiñ varna dil ko bech ke dil kā qarār luuñ
ai zulf-e-nāz terā taqāzā bajā magar
pahle ġham-e-hayāt ke gesū sañvār luuñ
kāñToñ ko apne ḳhūn-e-jigar se nikhār kar
kyoñ tujh se intiqām na fasl-e-bahār luuñ
ai gham tujhi se kyon na KHushi mustaar lun
do din ki zindagi hai to hans kar guzar lun
mumkin nahin ki mil sake ye jins-e-be-baha
main warna dil ko bech ke dil ka qarar lun
ai zulf-e-naz tera taqaza baja magar
pahle gham-e-hayat ke gesu sanwar lun
kanTon ko apne KHun-e-jigar se nikhaar kar
kyon tujh se intiqam na fasl-e-bahaar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.