ai hawa-e-dayar-e-dard-o-malal
ai havā-e-dayār-e-dard-o-malāl
marhabā marhabā ta'āl ta'āl
lafz gum-sum haiñ aur in meñ hai ġham
merī ḳhāmoshiyoñ kā jāh-o-jalāl
'aql se kasb-eأraushnī kar ke
mulk-e-dil ho gayā hai rū-ba-zavāl
tū bhī us meñ hai terī duniyā bhī
kitnā gahrā hai soch kā pātāl
pakkī saḌkoñ pe yaad aatā hai
kachche rastoñ kā sabza-e-pāmāl
kis pe ab hai chinār kā saaya
ibn-e-jīrāninā-o-kaifal-hāl
khol dīvān-e-hāfiz-e-shīrāz
faal tū ab rafīq-e-rāz nikāl
ai hawa-e-dayar-e-dard-o-malal
marhaba marhaba ta'al ta'al
lafz gum-sum hain aur in mein hai gham
meri KHamoshiyon ka jah-o-jalal
'aql se kasb-eأraushni kar ke
mulk-e-dil ho gaya hai ru-ba-zawal
tu bhi us mein hai teri duniya bhi
kitna gahra hai soch ka patal
pakki saDkon pe yaad aata hai
kachche raston ka sabza-e-pamal
kis pe ab hai chinar ka saya
ibn-e-jiranina-o-kaifal-haal
khol diwan-e-hafiz-e-shiraaz
fal tu ab rafiq-e-raaz nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.