ai hawa izn-e-safar de baadban
ai havā izn-e-safar de bādbāñ
muntazir haiñ rāstoñ ke darmiyāñ
ab nazar meñ dasht kī vaq’at nahīñ
aañkh meñ phailā huā hai āsmāñ
ab kahāñ par tolne kī aarzū
ab to maiñ huuñ aur merā āshiyāñ
jaag uTThā huuñ magar āñkhoñ meñ hai
niiñd kā ehsās ḳhvāboñ kā dhuāñ
maiñ jahāñ ke sāmne phailā.ūñ haath
aur tū ḳhāmosh patthar kī zabāñ
ai hawa izn-e-safar de baadban
muntazir hain raston ke darmiyan
ab nazar mein dasht ki waq’at nahin
aankh mein phaila hua hai aasman
ab kahan par tolne ki aarzu
ab to main hun aur mera aashiyan
jag uTTha hun magar aankhon mein hai
nind ka ehsas KHwabon ka dhuan
main jahan ke samne phailaun hath
aur tu KHamosh patthar ki zaban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.