ai ishq-e-be-niyaz ye kya inqilab hai
ai ishq-e-be-niyāz ye kyā inqilāb hai
ġham kāmyāb hai na ḳhushī kāmyāb hai
mastī meñ har fareb-e-ḳhirad be-naqāb hai
is vaqt jo gunāh bhī kiije savāb hai
fikr-e-ma.āl-e-ishq na kī ham ne ishq meñ
mālūm thā ki ḳhvāb hī tābīr-e-ḳhvāb hai
rusvā.iyāñ haiñ ishq kī me.arāj-e-zindagī
ye tum ne kyā kahā ki zamāna ḳharāb hai
ġham par asar nahīñ hai kisī inqilāb kā
aur ġham bajā-e-ḳhud asar-e-inqalāb kā
hāsil hai lutf-e-dīd magar ye ḳhabar nahīñ
tū be-hijāb hai ki nazar be-hijāb hai
'shāhid' baġhair vaj.h nahīñ nazm-e-kā.enāt
is bazm-e-nāz meñ koī dil bāryāb hai
ai ishq-e-be-niyaz ye kya inqilab hai
gham kaamyab hai na KHushi kaamyab hai
masti mein har fareb-e-KHirad be-naqab hai
is waqt jo gunah bhi kije sawab hai
fikr-e-maal-e-ishq na ki hum ne ishq mein
malum tha ki KHwab hi tabir-e-KHwab hai
ruswaiyan hain ishq ki mearaj-e-zindagi
ye tum ne kya kaha ki zamana KHarab hai
gham par asar nahin hai kisi inqilab ka
aur gham baja-e-KHud asar-e-inqalab ka
hasil hai lutf-e-did magar ye KHabar nahin
tu be-hijab hai ki nazar be-hijab hai
'shahid' baghair wajh nahin nazm-e-kaenat
is bazm-e-naz mein koi dil baryab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.