ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui
ai ishq terī ab ke vo tāsīr kyā huī
shor-e-junūñ kidhar gayā zanjīr kyā huī
dīvāna-pan kā mere jo karte nahīñ ilaaj
tadbīr karne vāloñ kī tadbīr kyā huī
aagū kī tarah aap jo ab bolte nahīñ
kyā jaane aisī ham se vo taqsīr kyā huī
ham ne to tum ko dauḌ ke kaulī meñ bhar liyā
farmā.iye ab aap kī shamshīr kyā huī
kī thī jo maiñ muraqqa-e-ālam se intiḳhāb
ai 'mus.hafī' dareġh vo tasvīr kyā huī
ai ishq teri ab ke wo tasir kya hui
shor-e-junun kidhar gaya zanjir kya hui
diwana-pan ka mere jo karte nahin ilaj
tadbir karne walon ki tadbir kya hui
aagu ki tarah aap jo ab bolte nahin
kya jaane aisi hum se wo taqsir kya hui
hum ne to tum ko dauD ke kauli mein bhar liya
farmaiye ab aap ki shamshir kya hui
ki thi jo main muraqqa-e-alam se intiKHab
ai 'mushafi' daregh wo taswir kya hui
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 399)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.