ai ishq tu ne waqif-e-manzil bana diya
ai 'ishq tū ne vāqif-e-manzil banā diyā
ab marhaloñ ko aur bhī mushkil banā diyā
allāh-re shauq-e-qais kī jalva-tarāziyāñ
aksar ġhubār-e-dasht ko mahmil banā diyā
maiñ ġharq ho rahā thā ki tūfān-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qarār ko sāhil banā diyā
ham ne ik āh-e-sard ko sham'-e-sahar ke saath
rūdād-e-nā-tamām kā hāsil banā diyā
ai dil ye sab amīr-e-suḳhan-var kā faiz hai
zarre ko jis ne jauhar-e-qābil banā diyā
ai 'ishq tu ne waqif-e-manzil bana diya
ab marhalon ko aur bhi mushkil bana diya
allah-re shauq-e-qais ki jalwa-taraaziyan
aksar ghubar-e-dasht ko mahmil bana diya
main gharq ho raha tha ki tufan-e-ishq ne
ek mauj-e-be-qarar ko sahil bana diya
hum ne ek aah-e-sard ko sham'-e-sahar ke sath
rudad-e-na-tamam ka hasil bana diya
ai dil ye sab amir-e-suKHan-war ka faiz hai
zarre ko jis ne jauhar-e-qabil bana diya
- Book : sheerazah (Pg. 23)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.