ai ishtiyaq-e-did bata aaj kya karen
ai ishtiyāq-e-dīd batā aaj kyā kareñ
un se nazar churā.eñ ki ham sāmnā kareñ
un se kaho ki farz-e-rifāqat adā kareñ
mere junūñ pe ahl-e-ḳhirad tabsirā kareñ
un dostoñ kī ham pe ināyat na pūchhiye
vo vaqt aa paḌā hai ki dushman duā kareñ
faiz-e-junūñ se daar kī manzil tak aa ga.e
ab apne qāfile kā kise rahnumā kareñ
ahl-e-talab ba-zauq-e-talab rāh-e-ishq meñ
har intihā ke baad na.ī ibtidā kareñ
kab tak maiñ intizār karūñ daur-e-hijr meñ
ummīd ke charāġh kahāñ tak jalā kareñ
vo mere dil pe barq-e-tabassum girā chuke
ab un ko kyā hazār fasāne banā kareñ
phir kyoñ nigāh-e-barq tavajjoh kare idhar
mauj-e-bahār se jo nasheman jalā kareñ
'shāhid' ham aaj hazrat-e-nāseh se pūchh leñ
dil kā kahā kareñ ki tumhārā kahā kareñ
ai ishtiyaq-e-did bata aaj kya karen
un se nazar churaen ki hum samna karen
un se kaho ki farz-e-rifaqat ada karen
mere junun pe ahl-e-KHirad tabsira karen
un doston ki hum pe inayat na puchhiye
wo waqt aa paDa hai ki dushman dua karen
faiz-e-junun se dar ki manzil tak aa gae
ab apne qafile ka kise rahnuma karen
ahl-e-talab ba-zauq-e-talab rah-e-ishq mein
har intiha ke baad nai ibtida karen
kab tak main intizar karun daur-e-hijr mein
ummid ke charagh kahan tak jala karen
wo mere dil pe barq-e-tabassum gira chuke
ab un ko kya hazar fasane bana karen
phir kyon nigah-e-barq tawajjoh kare idhar
mauj-e-bahaar se jo nasheman jala karen
'shahid' hum aaj hazrat-e-naseh se puchh len
dil ka kaha karen ki tumhaara kaha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.