ai jazb-e-dil wo din to mayassar KHuda kare
ai jazb-e-dil wo din to mayassar KHuda kare
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
ai jazb-e-dil vo din to mayassar ḳhudā kare
mere liye vo haath uThā kar duā kare
maiñ jaan duuñ vafā se vo mujh par jafā kare
marnā to merā apne hī dar par ravā kare
pāmāl shauq se dil-e-āshiq kiyā kare
ye bhī tamāshā shoḳhī-e-rañg-e-hinā kare
husn-e-butāñ meñ shān-e-ilāhī hai kyā kahūñ
baiThe na but-kade meñ fidā.ī to kyā kare
is nāznīñ se kah de ki ban jaa.e nūr-e-jāñ
āñkhoñ meñ aa.e ka.aba-e-dil meñ rahā kare
hālat ko merī sun ke ajab naaz se sanam
kahtā hai mujh ko ġham nahīñ koī mirā kare
dekhe mire sanam ko to rohbān-e-ishq bhī
salle-alā kahe kabhī shukr-e-ḳhudā kare
kah denā un ke tālib-e-dīdār se yahī
mir.at ke dil meñ sūrat-e-hairat rahā kare
is aarzū ne mujh ko bulāyā hai ḳhaak meñ
tā musht-e-ḳhāk ko mire vo naqsh-e-pā kare
pūchhā thā maiñ ne qais se jā kar ye dasht meñ
jis meñ na ho.e sabr-o-tahammul vo kyā kare
bolā vo hañs ke jī se guzarnā hī ḳhuub hai
is ibtidā-e-ishq kī yuuñ intihā kare
fasl-e-bahār aa.ī hai mujh ko na rokiye
jaatā huuñ ab to dasht meñ kuchh bhī huā kare
tasvīr-e-yār dil meñ 'jamīla' liye raho
ka.abe meñ jā ke āshiq-e-nāshād kyā kare
ai jazb-e-dil wo din to mayassar KHuda kare
mere liye wo hath uTha kar dua kare
main jaan dun wafa se wo mujh par jafa kare
marna to mera apne hi dar par rawa kare
pamal shauq se dil-e-ashiq kiya kare
ye bhi tamasha shoKHi-e-rang-e-hina kare
husn-e-butan mein shan-e-ilahi hai kya kahun
baiThe na but-kade mein fidai to kya kare
is naznin se kah de ki ban jae nur-e-jaan
aankhon mein aae kaba-e-dil mein raha kare
haalat ko meri sun ke ajab naz se sanam
kahta hai mujh ko gham nahin koi mera kare
dekhe mere sanam ko to rohban-e-ishq bhi
salle-ala kahe kabhi shukr-e-KHuda kare
kah dena un ke talib-e-didar se yahi
mirat ke dil mein surat-e-hairat raha kare
is aarzu ne mujh ko bulaya hai KHak mein
ta musht-e-KHak ko mere wo naqsh-e-pa kare
puchha tha main ne qais se ja kar ye dasht mein
jis mein na hoe sabr-o-tahammul wo kya kare
bola wo hans ke ji se guzarna hi KHub hai
is ibtida-e-ishq ki yun intiha kare
fasl-e-bahaar aai hai mujh ko na rokiye
jata hun ab to dasht mein kuchh bhi hua kare
taswir-e-yar dil mein 'jamila' liye raho
kabe mein ja ke aashiq-e-nashad kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.