ai jazba-e-dil teri tasir nazar aai
ai jazba-e-dil terī tāsīr nazar aa.ī
bantī huī phir apnī taqdīr nazar aa.ī
āzād fazāoñ meñ āzād chaman hogā
kyā ḳhvāb the kyā un kī ta.abīr nazar aa.ī
kyā jaane zamāne ne tasvīr meñ kyā dekhā
mujh ko to musavvir kī tasvīr nazar aa.ī
ham un se jafāoñ kā jī bhar ke gila karte
lekin ye mohabbat kī tahqīr nazar aa.ī
aa.ī thī ajal lekin kuchh is ko takalluf thā
jab aap ke aane meñ tāḳhīr nazar aa.ī
jab chāragaroñ ko bhī yaad aa.ī masīhā kī
muñh taktī huī un ko tadbīr nazar aa.ī
ai jazba-e-dil teri tasir nazar aai
banti hui phir apni taqdir nazar aai
aazad fazaon mein aazad chaman hoga
kya KHwab the kya un ki tabir nazar aai
kya jaane zamane ne taswir mein kya dekha
mujh ko to musawwir ki taswir nazar aai
hum un se jafaon ka ji bhar ke gila karte
lekin ye mohabbat ki tahqir nazar aai
aai thi ajal lekin kuchh is ko takalluf tha
jab aap ke aane mein taKHir nazar aai
jab chaaragaron ko bhi yaad aai masiha ki
munh takti hui un ko tadbir nazar aai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 86)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.