ai junun tera abhi tak na muqaddar badla
ai junūñ terā abhī tak na muqaddar badlā
shahr badlā na kisī haath kā patthar badlā
zindagī baḳhsh dī jab qatl mujhe kar na sakā
mere qātil ne bahut tez ye ḳhanjar badlā
ho ga.ī rāh-e-junūñ phir kisī sāzish kā shikār
mujh ko lagtā hai har ik miil kā patthar badlā
maiñ to samjhā thā yahāñ fan kī parastish hogī
chand sikkoñ kā uchhalnā thā ki manzar badlā
vo agar raah meñ khultā to koī baat bhī thī
haa.e afsos ki manzil pe pahuñch kar badlā
baat to jab thī ki tum ḳhud ko badalte yaaro
aaj tak tum ne har ik moḌ pe rahbar badlā
mere dāman meñ to ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī na thā
vo jo badlā to bahut soch-samajh kar badlā
rang-o-āhang kalī phuul parinde bhañvre
rut badalte hī har ik shāḳh kā manzar badlā
ai junun tera abhi tak na muqaddar badla
shahr badla na kisi hath ka patthar badla
zindagi baKHsh di jab qatl mujhe kar na saka
mere qatil ne bahut tez ye KHanjar badla
ho gai rah-e-junun phir kisi sazish ka shikar
mujh ko lagta hai har ek mil ka patthar badla
main to samjha tha yahan fan ki parastish hogi
chand sikkon ka uchhalna tha ki manzar badla
wo agar rah mein khulta to koi baat bhi thi
hae afsos ki manzil pe pahunch kar badla
baat to jab thi ki tum KHud ko badalte yaro
aaj tak tum ne har ek moD pe rahbar badla
mere daman mein to KHwabon ke siwa kuchh bhi na tha
wo jo badla to bahut soch-samajh kar badla
rang-o-ahang kali phul parinde bhanwre
rut badalte hi har ek shaKH ka manzar badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.