ai kash apne sare jazbaat rok leta
ai kaash apne saare jazbāt rok letā
jis baat par vo rūThe vo baat rok letā
tārīkiyoñ kā din kī gar mujh ko 'ilm hotā
muTThī meñ chāñd kar ke maiñ raat rok letā
aane kī tere dil ko thoḌī bhī aas hotī
maiñ bādaloñ se kah kar barsāt rok letā
tum ḳhvāb ban ke merī gar anjuman meñ aate
tāroñ kī apne ghar meñ bārāt rok letā
mere bhī gar chaman meñ fasl-e-bahār aatī
dāman meñ ḳhushbuoñ kī sauġhāt rok letā
ai kash apne sare jazbaat rok leta
jis baat par wo ruThe wo baat rok leta
tarikiyon ka din ki gar mujh ko 'ilm hota
muTThi mein chand kar ke main raat rok leta
aane ki tere dil ko thoDi bhi aas hoti
main baadalon se kah kar barsat rok leta
tum KHwab ban ke meri gar anjuman mein aate
taron ki apne ghar mein baraat rok leta
mere bhi gar chaman mein fasl-e-bahaar aati
daman mein KHushbuon ki saughat rok leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.