ai kash ki TuTe tera pindar kisi din
ai kaash ki TuuTe tirā pindār kisī din
kar le tū mire pyaar kā iqrār kisī din
ye jhāñknā chhup-chhup ke hamesha na rahegā
gir jā.egī ye beach kī dīvār kisī din
hālāt ke mahbas se nikālo unheñ varna
mar jā.eñge ghuT kar yahāñ ḳhuddār kisī din
sarshār kabhī maiñ bhī bahut thā use mil kar
pachhtā.egā tū bhī ai mire yaar kisī din
sunte haiñ ki us paar baḌī sabz ruteñ haiñ
kyuuñ ham bhī na 'ayyāz' chaleñ paar kisī din
ai kash ki TuTe tera pindar kisi din
kar le tu mere pyar ka iqrar kisi din
ye jhankna chhup-chhup ke hamesha na rahega
gir jaegi ye beach ki diwar kisi din
haalat ke mahbas se nikalo unhen warna
mar jaenge ghuT kar yahan KHuddar kisi din
sarshaar kabhi main bhi bahut tha use mil kar
pachhtaega tu bhi ai mere yar kisi din
sunte hain ki us par baDi sabz ruten hain
kyun hum bhi na 'ayyaz' chalen par kisi din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.