ai KHak-e-watan tere parastar to sab hain
ai ḳhāk-e-vatan tere parastār to sab haiñ
ham hī hue kyoñ ḳhaar gunahgār to sab haiñ
ham bhī haiñ kafan sar pe uThā.e hue ehsāñ
jaldī thī tumheñ varna sar-e-dār to sab haiñ
dekheñge bane shīsha-e-jāñ kis kā nishāna
patthar liye yuuñ darpai-e-āzār to sab haiñ
bāhar na dhuāñ hai na sulagne kā nishāñ hai
andar se bhaḌakte hue angār to sab haiñ
ai shahr-e-ahinsā meñ khaḌe haikal-e-gāñdhī
aa dekh tire shahr meñ ḳhūñḳhār to sab haiñ
hākim bhī haiñ munsif bhī jo kahte haiñ sar-e-bazm
mā'sūm haiñ do-chār ye ġhaddār to sab haiñ
ik nuuh nahīñ jo hameñ kashtī meñ biThā le
varna kisī tūfān ke āsār to sab haiñ
ai KHak-e-watan tere parastar to sab hain
hum hi hue kyon KHar gunahgar to sab hain
hum bhi hain kafan sar pe uThae hue ehsan
jaldi thi tumhein warna sar-e-dar to sab hain
dekhenge bane shisha-e-jaan kis ka nishana
patthar liye yun darpai-e-azar to sab hain
bahar na dhuan hai na sulagne ka nishan hai
andar se bhaDakte hue angar to sab hain
ai shahr-e-ahinsa mein khaDe haikal-e-gandhi
aa dekh tere shahr mein KHunKHar to sab hain
hakim bhi hain munsif bhi jo kahte hain sar-e-bazm
ma'sum hain do-chaar ye ghaddar to sab hain
ek nuh nahin jo hamein kashti mein biTha le
warna kisi tufan ke aasar to sab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.